world

Flag Counter

Saturday, March 19, 2016

30 bemario ka 30 elaaj

Hichki Rokna:
Agr Pani Se Hichki Na Rukay Tou 1 Long Kha Lein.

Pimples:
Garmi Ki Waje Se Honay Walay Pimples Par Pan Mein Use Honay Wala Choona Use Karen Pimples Khatam Hojayengay.

Bachoon K Daant:
Jab Noumolood Bachon K Daant Nikalnay Walay Hoon Tou In K Gums Par Honey Or Salt Mila Kar Lagayen Or Galay Mein 1 Chwara Kali Dori Mein Piro K Daal Dein, Daant Begair Kisi Takleef K Nikal Ayengay.

Headache:
Daarchini Ko Pees Kar Forehead Par Iska Laip Lagayen.Sir Par Kaddu Ki Malish Karen.

Weight Barhanay K Lye:
1 Apple Ki Kashen Kat Kar Raat Ko Khulay Asman K Nichay Aisi Jage Rakhen Jahanis Par Shabnum Parti Rahay Or Subha Moon Haath Dho K Yeh Apple Khalein. Is Se Aap Ka Weight Bhi Sahi Hojayega Or Face Par Shine Bhi Ayegi.

Gas Or Qabz:
Patton Wali Muli Shehad Or Namak K Sath Mila Kar Kahyen, Insha Allah 1 Week Mein Gas Or Qabz Se Nijat Mil Jayegi.

Hath Jal Jaey Tou:
Agr Hath Jal Jaye Tou Mutasira Jage Par Kachha Doodh Laganay Se Foran Aram Milta Hai.Jalay Hwe Hisse Par Glycerin Ya Neel Laganay Se Aabla Nahi Parta.

Height Barhanay K Lye:
Rozana 10 Se 12 Hrs Ki Neend Karen Or Lait Kar Hath Per Angrai Ki Surat Phelayen, Height Mein Izafa Hoga.

Sweeting:Agr Aap K Paoun Mein Sweeting Zyada Hoti Ho Tou Neem Garam Pani Mein Sirka Ya Lemon Juice Mila Kar Paoun Dhoen, Sweeting Hona Band Hojayegi.

Chehray Ki Khushki:
Aksar Winter Season Mein Face Buhat Dry Hojata Hai Is Dryness Se Bachnay K Lye 5-6 Badamen Pani Mein 4-5 Hrs K Lye Bhigo K Rakhdein, Jab Naram Hojayen Tou Ragar K Face Par Lagayen Or Jab Dry Hojaye Tou Ise Apni Finger Ki Madad Se Utarlein Or Pani Se Moun Dholein. Is Se Kuch Dinon Mein Dryness Khatam Hojayegi.

Lips Ki Surkhi:
Raat Ko Honton Par Zafran Laga Kar 10- 15 Minutes K Lye Chordein Phir Lips Dholein, 10 – 15 Dinon Mein Aap K Honton Pe Natural Surkhi Ajayegi.

Zyada Chenkein Aana:
Agr Buhat Zyada Chenkein Arahi Hoon Tou Sir Par Thanda Pani Baar Baar Dalnay Se Chenkein Ana Band Hojati Hain.

Pait K Keeray:
Apnay Bachon Ko Peach Buhat Khilaya Karen, Is Se Bachon K Pait K Keeray Mar Jatay Hain.

Gums Ka Phoolna:
Agr Kabhi Gums Phool Jayen Tou Dry Tobacco Ko 5-6 Leaves Le Kar Pees Lein Or Phoolay Hwe Gums Par Lagayen, Inshaallah Sojan Khatam Hojayegi.

Danto Ki Mazbooti:
Danton Ko Mazboot Karnay K Lye ½ Cup Sirkay Mein 1tablespoon Honey Mein Milayen Or Is Se Roz Gargle (Kulyan) Karen.

Bleeding Roknay K Lye:
Agr Hath Cut Jaye Or Bleeding Zyada Honay Lagya Tou Is Par Honey Laga Kar Kus K Patti Bandh Lein, Is Se Bleeding Ruk Jati Hai.

Kanta Lag Janay Par:
Agar Kabhi Paun Ya Hath Mein Kanta Lag Jaye Tou Os Jage Par Gur Or Pyaz Donu Ko Koot Kar Lagadein Or Thori Der Chordein, Kanta Asani Se Nikal Ayega.

Kaan Ka Dard:
Agar Kaan Mein Dard Ho Tou TULSI K Leaves Kuchal Kar Saaf Pani Nikal Lein, Phir Ye Pani Neem Garam Kar K Kaan Mein Droper Ki Madad Se Dalein, Kaan Ka Dard Bilqul Theek Hojayega.

Aawaz Ki Kharabi:
Aksar Ouqat Zyada Bolnay Ki Waje Se Aawaz Kharab Hojati Hai Aisi Surat Mein Roz ½ Inch Ka Adrak Ka Piece Chaba Kar Thook Dein, Kuch Dino Mein Aawaz Theek Hojayegi.Girmar Phalli K Seeds Khanay Se Bhi Jald Awaz Theek Hojati Hai.

Yadhasht Barhana:
Rozana Doodh Mein 20 Pistay Or Badam Or 1tsp Honey Mila Kar Pinay Se Yadhasht Tez Hoti Hai.Daarchini Ka Joshanda ½ Cup Rozana Subha Shaam Pinay Se Bhi Yadhasht Achi Hojati Hai.

Khoye Ko Mehfooz Karna:
Khoye Ko Zyada Arsay Tak Mehfooz Rakhnay K Lye Is Mein Thori Si Sugar Daal K Freezer Mein Rakh Dien, Khoya Lambe Arsay Tak Taza Or Zayeqay Daar Rahega.

Khansi, Hath Or Paoun Ki Jalan:
Teenday Ka Istamal Khansi, Hath Or Paoun Ki Jalan Se Bachata Hai.

Dehydration:
Cucumber Dehydration Se Bachata Hai Specially Summer Season Mein, Or Is K Sath Yeh Acidic Urine Ko Bhi Kahtam Karta Hai.

Pan Se Zaban Cut Jaye:
Agar Pan Khatay Hwe Zaban Cut Jaye Tou Thora Sa Khopra Khanay Se Moun Theek Hojata Hai Or Jalan Bhi Door Hojati Hai.

Kuttay K Katay Ka Ilaj:
Agar Kabhi Kutta Kat Lay Tou Os Jage Par Jahan Kata Gaya Hai Wahan Namak Or Safaid Katha Mila Kar Lagayen, Is Se Zehar Khatam Hojayega.

Chechak K Daag:
Pistoon Ko Pees Kar 6 Months Tak In Daag Par Laganay Se Daag Khatam Hojatay Hain.

Chehray Ki Kharaish:
Muli Ka Juice Face Par Laganay Se Kharish Khatam Hojati Hai. YaJao K Aatay Mein Muli K Juice Mila Kar Face Par Laganay Se Bhi Kharish Khatam Hojati Hai.

Rangeen Kapron Ki Safai
Rangeen Kapron Ko Dhonay Walay Pani Mein 2tsp Salt Milalein Or Phir Is Mein Rangeen Kapray Daal Kar Dhoyen Is Se Kapron Ka Colour Kharab Nahi Hota.


Zehni Thakan:
Apni Rozana Ki Giza Mein Phal Or Sabzyon Ka Zyada Istamal Rakhnay Se Zehni Thakan Kum Lagti Hai.

Daarh Ka Dard:
Jis Taraf Ki Darh Mein Dard Ho To Is K Mukhalif Taraf Naak Mein Aam Kagaz Ka Dhwan Songhnay Se Dard Ki Shiddat Mein Kami Aati Hai.

Pyas Zyada Lagna:
Agar Pyas Zyada Lagti Ho Tou Pyaz Ki Chund Qashen Khanay Se Pyas Ki Shiddat Khatam Hojati Hai.

Billi Ka Katna:
Agar Kabhi Billi Kat Lay Tou Dry Pudinay Ko Taza Pudinay Mein Pees Kar Laip Bana Lein Or Jahan Billi Ne Kata Hai Os Jage Par Lagayen Buhat Aram Ajayega.

Saanp Ka Katna:
Sanp K Katay K Patient Ko Agar Banana Ka Fresh Juice Pilaya Jaye Tou Patient Acha Hojata Hai

No comments:

Post a Comment

Salam dear Muslim communities